Android Phones Hang kyo hote hai ?
1. Android phones ke hang hone ka sabse bada reason ye hai ki phone me bahut sare apps download kar lena.
2. kuch log sare apps internal storage me install karte hai jisase RAM par bura asar padta hai or phone hang hone lagta hai.
3. Apne phone ka cache data clear nahi karte jisase hamara phone slow ho jata hai.
4. New phones me eksath bahut sare apps download kar lete hain.
5. Third party apps launcher download nahi karna chahiye.
Android phones ko hang hone se kaise bachaye ?
1. Sabse pahle aapke phone me agar koi antivirus ya cache cleaning app hai to use uninstall kar de kyonki jyadatar inhi ke vajah se phones hang hote hain.
2. Ab apne phone me se jo apps aap use nahi karte un sabko uninstall kar de or jin apps ko bahut kam use karte ho aapko unka force stop kar dena hai.
3. Agar aapke phone me sare apps internal storage me install hote hai to phone ki setting me jakar ise external me yani memory card me karde isase aapke phone ki RAM par kam dabav padega.
4. Apne phone ko mahine me 2-3 bar pc ya laptop me lagakar scan karte rahna chahiye jisase aapka phone fast ho jayega.
5. Aap jab phone ka internet data on kare to kam se kam 1-2 minute tak phone me kuch na kare kyonki jab aap data on karte ho to ek sath kai apps shuru ho jate hai jaise facebook,whatsapp,messenger jisase hamara phone hang ho jata hai or hame wait karna padta hai.
6. Hame daily apne phone ko restart karna chahiye kyonki hamare phone ke kuch apps close hone ke baad bhi running karte rahte hai phone ko restart karne se vo puri tarah close ho jate hai or hamare phone ki speed bhi badh jati hai.
7. Apne Android phone me hamesha 2-3 GB ka free space to rakhna hi chahiye jisase aapke phone ke apps ka behavior achha ho jata hai or phone hone ki problem kam ho jati hai.
8. Apne phone me cached data ko clean karte rahna chahiye or ise 2-3 mb tak hi rakh na chihiye agar appko nhi pata ki ched data kya hota hai or ise kaise clean karte hai to niche bataye instruction ko follow kariye.
1.sabse pahle apne phone ki setting me jaiye or storage par click kariye.
2.Iske baad screen ko niche scroll kariye ab aapke samne cached data ka option dikhayi dega uspar click kariye.
3.Ab aapke samne ek popup khulega jisme Clear cached data ka option hoga aapko ok par click karna hai ab cache data clear ho jayega.